Na Jaane Kitne Sapne In Aankhon Mein Saja Ke Laayi Hoon
Kitne Poore Honge Aur Kitne Adhoore Yahin D Jaaongi Pata Nahi
Aap Sab Se Mulakaat Phir Hogi Ya Nahi Pata Nahi
Par Meri Duayein Aap Sabhi Ke Saath Hongi
Chaahat Rahe Na Rahe Par Chaahat Ki Awaaz Sab Ki Duaaon Ki Aaghaaz Hogi
Bahut Pyar Diya Hai Chaahat Ko Aap Sabhi Ne
Uska To Kuch Hissa Bhi Nahi De Paayi, Main Vaapis Maafi Chaahti Hun
Maaf Kar Dena Aur Bhool Jaana
Kyun Ki Phir Yahan Aana Ho Na Ho Pata Nahi
Par Aap Sab Ki Yaad Zaroor Rahegi Saath Mere Humesha
Bas Ek Malal Rahega Us Oopar Vaale Se
Usne Aakhiri Baar Bhi Milne Nahi Diya Mujhe Apne Dil-O-Jaan Se
Khair Jaisi Uski Marzi Jaisi Uski Kudrat
Aap Sab Khush Rahiye Sada Ke Liye
Muskuraate Rahiye Aur Muskurahat Baant-Te Rahiye