Na Hi Mere Hath Hinayi Na Ankhon Mai Kajal Ki Parchayi
Na Mathey Pe Bindia Ki Dhanak Na Kalayi Mai Kanch Ki Khanak
Na Shafak Ka Mang Mai Sindoor Tum Gaye Kyu Itni Door
Aaj Ka Din Suhag Ka Din Mere Liye To Daag Ka Din
Tum Khabo Mai Aao To Main Neend Mai Hi Banu Dulhan
Apna Sara Badan Mahkau Chu Ke Tumahre Hontho Ka Chandan
Par Ab Jo Jaise Bhi Mujhe Manzoor Tum Gaye Kyu Itni Door
Kaise Batau Kaise Hai Halaat Mere Tumbin Kaise Kat-Te Hai Din Rat Mere
Mujhe Aur Tanha Kar Dete Hai Log Jo Rahte Hai Sath Mere
Katl To Tum Kisi Aur Se Hue Lahu Se Rang Gaye Kyu Hath Mere
Aag Lage Ya Na Lage Sati Hona Bidhwa Ka Dastoor
Tum Gaye Kyu Itni Door Bina Aag Ke Jal Rahi Hu
Jee Nahi Pall Rahi Hu Dekho Kaisa Hunar Hai Mujhme
Laash Hu Fir Bhi Chal Rahi Hu Tum Meri Jawani Ki Sham Ban Gaye
Mai Suraj Ban Kar Dhal Rahi Hu Ankh Matha Kabhi Lab Tumse
Aise Har Chehre Se Bahal Rahi Hu Na Bula Saku,Na Tumhare Paas Aa Sau
Mai Bhi Kitni Mazboor Tum Gaye Kyu Itni Door
Kokh To Meri Bhari Nahi Par Goud Mai Apni Bharti Rahi Hu
Humare Hi Pyar Sa Dikhta Hai Pyar Mai Usse Karti Rahi Hu
Mere Zism Ki Upaj Nahi Magar Usse Rooh Ka Rista Rakhti Hu
Hone Laga Hai Mujhko Bhi Ma Hone Ka Garoor
Tum Gaye Kyu Itni Door Jaise Tokte Hai Sab Aansoo Mere
Kash Tumhe Bhi Tab Koe Rokta Kyu Aise Jahaan Gaye Ho Tum
Jaha Se Koe Nahi Laut-Ta Eid Ka Chand Ho Gaya
Mera Chand Karwa-Chouth Ka Tum Bin Mai Mari Nahi
Mera Kasoor Tum Gaye Kyu Itni Door