Muskuraney Se Mera Dard Chhupa Rahta Hai
Ek Parda Sa Zamane Se Bana Rahta Hai
Har Naye Mod Par Halaat Naye Hote Hain
Umr Bhar Yaad Kise Ahd-E-Wafa Rahta Hai

Barishein Mangta Ik Ped Jogion Ki Tarha
Umr Bhar Ek Hi Paon Pe Khada Rahta Hai
Marham-E-Ashk Lagana Bhi Hum Ne Chhod Diya
Kab Talak Dekhiye Yeh Zakham Hara Rahta Hai
Khak Sahraon Ki Chhani Thi Magar Woh Na Mila
Zarre-Zarre Mein Suna Tha Ke Khuda Rahta Hai
Ek Tasbih Mere Haath Mein Rahti Hai Feroz
Aastin Mein Meri, Khanjar Bhi Chhupa Rahta Hai