Muskuraatey Huye Deykhaa Naheen Meiney Tumko
Jhilmilaatey Huye Deykhaa Naheen Meiney Tumko
Gungunaatey Huye Deykhey Hain Roz Parwaaney
Gungunaatey Huye Deykhaa Naheen Meiney Tumko
Nigah Zameen Sey Uthhtee Huyee Naheen‚  Detkhee
Sar Uthhaatey Huye Deykhaa Naheen Meiney Tumko
Asliyat Kyaa Hai Tumhaaree Mujhey Naheen Maalum
Ghar Sey Jaatey Huye Deykhaa Naheen Meiney Tumko
Jagmagaatey Huye Deykhey Hain Sitaarey Laakhoun
Jagmagaatey Huye Deykhaa Naheen Meiney Tumko
Na Naqaab-O-Hijaab Aaye Hain Nazar Mujhko
Kuchh Chhupaatey Huye Deykhaa Naheen Meiney Tumko
Ajeeb Baat Hai Pahloo Mein Ho Nazar Mein Naheen
Aur Aatey Huye Deykhaa Naheen Meiney Tumko
Noor Ho Yaa Ki Roshanee Key Dhhaley Ho Kyaa Ho?
Kuchh Bataatey Huye Deykhaa Naheen Meiney Tumko
Pee Rahey Ho Azal Sey Har Lamhey May-E-Kousar
Dagmagaatey Huye Deykhaa Naheen Meiney Tumko
Jaagtey-Sotey Sataataa Hai -Ë—Abd-‘ Ko Koyee?
Par Sataatey Huye Deykhaa Naheen Meiney Tumko