Muntarib Hun Apne Gum-E-Fasaane Ka
Taakat-E-Bedaad-E-Intezar Dekh Tere Deewane Ka
Haasil To Hai Mujhe Ahad-E-Wafa Teri
Ab Nateeza Jo Bhee Ho Tere Parwane Ka
Gulistaan-E-Phul Hun Khaar-E-Pa To Nahin
Karte Hain Intezar Gulshan Mein Bahar Aane Ka
Karar-E-Dil Ab Khota Hi Chala Jaye Hain
Ye Silsila Hai Unka Mujhpe Sitam Dhane Ka
Daaman-E-Baagbaan Mein Hasrat Ki Kali Aayi
Ye Nateeza Hua Kisi Gul Ke Muskurane Ka
Nigaah-E-Aashna Ho Gaya Main Tera
Majbur Hai Betab Ab Unse Dil Lagane Ka
Naaz-E-Husn Dekha To Fida Ho Gaya
Ishq Mein Hun Muntzir Bhee Gum Uthane Ka