Mulk Mai Tarz,E,Siyasat Kabhi Aisi To Na Thi
Ehel.E.Dainsh Mai Raqabat Kabhi Aisi To Na Thi
Apne Saaye Se Bhi Wehshat Kabhi Aisi To Na Thi
Nooh.E.Insaan Mai Jahalat Kabhi Aisi To Na Thi
Ehle Dunia Ka Ye Kiya Haal Howa Hai Yaa Rab
Khud Se Bezari.O.Nafrat Kabhi Aisi To Na Thi
Husn.O.Ekhlaaq Se Aari Hai Zamana Kaisa
Aadmi Zaad Ki Seerat Kabhi Aisi To Na Thi
Adalo Insaaf Kahin Peet Na Le Sar Apna
Be Ghunahon Pe Qiyamat Kabhi Aisi To Na Thi
Thaa Mukhalif Ko Bhi Sharm.O.Heya Ka Ehsaas
Dushmano Mai Bhi Shararat Kabhi Aisi To Na Thi
Ber Sare Aam Sharafat Ka Udhate Hain Mazaaq
Jahilon Mai Bhi Zalalat Kabhi Aisi To Na Thi
Aafat,E, Jaan Bane Insaaf Ke Do Bool Ye Gul
Mujh Se Dunia Ko Adawat Kabhi Aisi To Na Thi