Mujhe Nafrat Aaj Ak Baar Phir Ho Gayi Khud Se,
Jeene Ke Batein Sikha Raha Tha Duniya Ko Woh
Jhootha Waada Karti Thee Har Baar Khud Se,
Dekh Liya Aaj Phir Uska Ishq Kisi Aur Se
Kya Chahta Hai E Malik Mujhse
Kuch Khabar De Mujhe
Yeh Teri Duniya Ke Log Janwar Bankar
Cheen Rahe Hain Kyun Mujhko Mujhse???
Ab Aur Kitne Dushman Banaoo Main
Ab Aur Kitne Ashk Bahaon Main
Thak Gayi Iss Nafrat Ke Saath Jeete Jeete
Ab Aur Kitne Kisse Sunao Main
Kahan Se Uski Parchaiye Har Roz Nazar Aati Hain
Kisi Aur Ko Khush Rehne Kii Jo Salah Dekar Jati Hain
Hum Soch Main Pade Hain Aaj Bhii
Yeh Zindagi Maut Ke Siva Mujhse Kya Chahti Hain???
Nahin Hain Bas Main Shaant Rehna Ab
Kisko Sunao Apni Cheekhe Ab
Woh Haath Chuda Ke Dur Ho Chala Hain
Kya Shikayat To Kya Gila Karun Ab
Aah Hai Ki Khatam Nahi Hoti
Uski Mohabbat Kyun Bharam Nahi Hoti
Hun Sacchi Main Ya Uska Waada
Kyun Gunehgaar Ki Aankhon Main
Sharam Nahin Hoti? Kya Sunae Yeh Sanam Apni Kahani
Lut Chuki Hai Ab Nahin Bachi Jaydaad Purani
Chhod Doongi Ab Main Bhii Iss Duniya Ko
Ab Apni Chita Bhii Hain Apne Hathon Jalani.