Mujhe Lahad Mein Bhee Yeh Soch Karr Qaraar Nahin
Ke Tere Dil Mein Meri Yaad Ka Ghubaar Nahin
(Lahad=qabr, Grave)
Sukun Ghar Mein Nahin, Bazm Mein Qaraar Nahin
Khud Apne Ghum Ke Sivaa Koi Ghamgusaar Nahin
Bichha Ke Sajde Teri Raah Mein Yeh Dil Soche
Kabhi To Tujh Se Kahen Tera Intezaar Nahin
Khayal-E-Yaar, Na Naam-E-Wafa Se Behle Hain
Mizaaj-E-Dil Ka Magar Koi Aitabaar Nahin
Fiza Ka Rang Udaa Uski Zulf-E-Barham Se
Naseem-E-Subah-E-Baharaan Bhee Mushkbaar Nahin
(Naseem-E-Subah-E-Baharaan=morning
(Spring Breeze Mushkbaar=musk-Laden, Scented)
Yeh Kis Maqaam Pe Vahshath Ne Laa Diyaa Daanish
Ke Zabt-E-Gham Pe Bhi Ab Dil Ka Ikhtiyaar Nahin
(Zabt=restraint,Control)