Mujhay Her Nai Subah Kay Baad
Garam Dhup Ki Tapish Mili
Her Suhani Shaam Kay Baad
Siyah Raat Ki Tanhayi Mili
Her Phul Kay Khilnay Kay Baad
Pat Jhar Ki Weerani Mili
Baarish Nain Meray Ghar Kay
Aangan Ko Mehkaya To Bahut Magar
Baarish Kay Baad Ki A’andhi Nain
Mera Chaman Ujar Diya
Is Liye Tumhain Daikh Ker Tazaa
Hawa Ka Ehsaas To Zarur Howa
Aur Yun Laga Keh Meray Dil Kay
Chaman Main Aik Naya Gulaab Khila Ho
Magar Tumhain Duur Say Hi Daikhta Raha
Tumhain Bulaya Nahin Apnaya Nahin
Tumhain Rokta Bhee To Kis Liye?