Mol-Tol Ke Shahar Mein Aa Kar
Hum Kya Nafaa Kamaa Baithe
Kismat Nain Do Aankhein Di Theen
Unko Bhi Dhundhlaa Baithe
Jab Se Safar Pa Niklee Hoon,
Dhoop Ne Saath Nibhaayaa Hai
Rukee To Saaya Ban Gayaa Saathi,
Chalee To Haath Chudhaayaa Hai
Ab To Apne Yaar Bhi Humko……
Kishton-Kishton Pey Milte Hain
Neha Milne Waale Jaane Kis
Aasmaan Par Jaa Baithe
Dhake Dhakaaye Kapron Se
Bhi Nange-Nange Lagte Hain
Isee Liye Hum Apne Se Bhi
Apnaa Aap Chupaa Baithain
Marne Waalon Ko Humne Bhi
Rona Chaahaa Ro Na Sake
Haaye Humein Yeh Jeenay Waale
Kaisi Hansee Hasaa Baithain
Aankhon Se Hi Kah Dete To
Koi Jawaab To Paa Letee
Unse Nazar Milte Milte
Sabhi Sawaal Bhulaa Baithain
Raat Huee To Kaale-Kaale,
Din Huaa To Gore Hain
Log Adhoore Jismon Par
Kirnon Ki Dhool Jamaa Baithain
Yeh To Jahaan Bhi Jaatee Hai
Bas Ulti-Seedhi Kahtee Hai
Aaj ‘Neha’ Ke Aate Aate
Hum To Bazm Uthaa Baithe !