Mohabbat Ke Bazaar Mein Na Kabhi Tum Bhool
Kar Bhi Pair Jamana Ye Rasta Hai Kathin Bahut
Aur Hamsafar Bhi Saath Chalta Nahi
Waqt Theharta Nahi Ek Pal Ke Liye Aur Dil Kabhi
Chain Se Jeene Deta Nahi Jajbaat Rote Hai Zaar-Zaar
Koi Kisi Ka Yahaan Hota Nahi
Aanhoon Ka Neend Se Rishta Jaise Toot Jaata Hai
Sadiyoon Si Lambi Raatein Aur Karib Chaand Ke
Siwaa Koi Hota Nahi
Taare Roote Hai Saath Har Pal Par Dil Hai Ki Unki
Aah Tak Sunta Nahi Mohabbat Ke Is Bazaar Me
Taaroon Ke Bina Koi Gawah Hota Nahi
Dil Tootta Hai Har Pal Yahaan Naya Aur Bikhar
Jaata Hai Kadmo Me Par Tukde Uthaa Dene Waala
Bhi Koi Milta Nahi
Ye Wo Gamm Hai Jo Utha Lo To Zindagi Bhar Ka Bojh
Na Uthao To Zindagi Bhar Ki Tadaf Iske Siwa Iss Bazaar
Se Aashiq Ko Kuch Bilta Nahi