Meri Aarzoo Meri Jaan E Jaan,
Mujhe Chhod Naa Hain Tau Chhod Jaa
Mera Dil Khalish Se Hain Gam Zada
Kuch Kar Sitam Mujhe Bhuul Jaa
Hua Zabt Mera Younhi Be-Sabr
Mujhe Yaad Kar, Naa Tu Yaad Aa
Teri Qurbatein Meri Justaju
Tere Hijr Mein Saans Aaye Tau Kya
Mere Dil Mein Dhadhke Teri Sada
Kya Hogi Is Se Badh Pyaar Kii Intehaa
Tera Aks Jo Mujhmein Rama Rama
Putaliyon Se Mita Naa Paaon Tau Kya
Basa Mujhmein Tu Maanuus-E-Sada
Teri Awaaz Se Door Jaaon Kahan
Asaan Thaa Tujhe Khona Mujhe
Par Maine Tujhe Khoyaa Kahan
Tere Harf Mujhmein Ghule Ghule
Tere Lams Kii Mujhmein Shaguftagi
Tere Baazuon Kii Panaah Mein
Be-Alam Huye Thhe Jism-O-Jaan
Tune Paaye Thhe Jinmein Do Jahan
Dekh Saagar Umadh Aaye Wahan
Khuun-E-Tamanna Se Ho Aab-Taab
Tune Dekha Aisa Surkh Jalwaa Kahan
Mere Lab-O-Rukhsaar Kii Shuaa-En
Tere Ishq Se Hee Theen Jawaan
Mere Haal Pe Hansta Hain Aainaa
Pareewaash Se Tu Huyi Dhuaan
Gham-E-Hayaat Se Guzar Kar
Aaye Thhe Hum Tere Qareeb
Duniya Se Jeet Kar ‘Paras’ Ne
Yeh Dil Tujhpe Haara Thaa Habib
Aaj Phir Khalish Se Hoon Gam Zada
Kuch Kar Sitam Mujhe Bhuul Jaa
Hua Zabt Mera Younhi Be-Sabr
Mujhe Yaad Kar, Naa Tu Yaad Aa