Mere Haseen Khwaab Bikharna Nahin Tum
Jahaan Bun Sakoon Tumko Bulaana Wahin Tum
Har Roz Khushi-O-Gham Ulajhte Rahe
Aaj Na Dena Tanhaa Mujhe Kahin Tum

Pukaar Lo Phir Keh Ke -Ë—tum Meri Ho Jaana-‘
Kaho Hamein Phir Se -Ë—chaand Se Bhi Hasiin Tum-‘
Tassavur Mein Bhi Ras Nahin Zehar Ghul Gaya Jaise
Mere Juu-E-Dard Ko Jaane, Kya Abhi Nahin Tum
Pur Khaar Raah-E-Talab, Shikastaa-Paa Mere
Na Jaana Mujhse Duur O Mere Shiirrin Tum
Meri Duubti Saanson Ka Wajood Tumhin Ho
Intehaa Dewaanepan Kee Mere Tumhin Tum
Taab-E-Naakaamii Chahiye, Bawajood Qurbaani
Ab Tau Lo Baahon Mein, Mere Khwaab Hasiin Tum
Ranj-O-Gham Se Duur Bahut Duur Le Chalo Tum
Seene Se Laga Sula Do Mujhe Phir Wahin Tum
Aankhein Meech Mehsoos Tumhein Karoon Phir
Sehlaate Raho Dard Ki Mere Khwaab Hasiin Tum
Mere Mukhlis Khwaab Bikharna Nahin Tum
Ho -Ë—paras-‘ Ki Ghazalon Ki Sadaa Tumhin Tum