Mera Wajood Hai
Azeeyaton Ki Qaid Mein
Mera Zehan Hai
Sochon Ki Qaid Mein
Mujhe Hai To Bas Ek Aasra
Meri Mann Ki Ujli Si Yaad Ka
Main Nahi Hoon Magar Phir Bhi
Main Ek Azziyat-E-Na Tamaam
Main Ek Khamoshi-E-Benaam
Main Ek Masti-E-Badnaam Hoon
Hai Wajood Mera Kaanton Ke Hisaar Mein
Bad Masti Masti Ke Jwar Mein
Main Hoon Behisson Ke Diyar Mein
Har Pal Hoon Teri Yaad Ke Khumaar Mein
Mujhe Chain Na Aaye Purnam Fiza
Main Hoon Shola Ek Dehekta Hua
Main Dukhon Ki Aag
Main Hoon Tapi Hui
Mujhe Sard Na Kar Aur Jala
Aye Khuda-E-Laazawal
Rok De Is Baarish Ko
Iski Har Boond Se Phatta Hai Aabla
Jo Ye Baras Gayi Mere Wajood Pe
Ye Phat Padega Lawa Numa
Bas Ek Nazar-E-Karam Kar
Meri Maan Ke Is Lehad Par
Kar Roshan Uski Lehad Ko
Kar Baghbaan Uski Rooh Ko
Baksh De Har Khata Uski
Razi Ho Jaa Usse Gar Ranjoor Ho
Raahat Kada Mein De Jaga
Apne Reham Se Use Aye Khuda
Hai Ek Gunahgaar Ki Ye Iltija Gar Manzoor Ho