Mein Jo Bazaar Mein Taaza Ghazal Dalta Hoon
Khil Khilata Hua Mahool Badal Dalta Hoon
Phool Hoton Se Lagane Ki Mujhe Aadat Hai
Wo Jo Chahekte Hain Unhe Masal Dalta Hoon
Lele Yeh Saugat Kisi Aur Ke Kaam Aayegi
Tere Kadmon Mein Tera Taj Mahal Dalta Hoon
Subah Hoti Hai To Ab Apne Parosi Ki Tarah
Mein Bhi Suraj Ki Aur Dekh Ke Jall Dalta Hoon
Shayari Log Samajhte Hain Samajhlein Mein To
Aaj Ki Gaud Mein Apna Beeta Hua Kal Dalta Hoon
Bas Ek Yahi Shikayat Thi Kisi Ko Mujh Se Ki
Main Bahut Uske Khayaloon Mein Khalal Dalta Hoon
Hai Wahien Dafan Woh Meri Pehli Mohabbat
Phool Uski Tooti Hui Kabrr Pe Dalta Hoon