Mazjid Main Ab Khuda Ke Ajanon Ki Nahi Hai Kair
Mandir Main Ab Murli Ke Tanon Ki Nahi Hai Kair
Dehshad Ke Mare Tehri Hai Dilon Ki Dhadkane
Aatangiyon Ke Haathon Main Vimanon Ki Nahi Hai Kair
Bhujte Huwe Chiragon Ki Tadapti Hai Roshni
Aandhi Ki Nahi Hai Khair, Toofano Ki Nahi Hai Kair
Charon Taraf Maut Ke Udane Lage Hai Ab
Zameen Ki Nahi Hai Kair Aasmano Ki Nahi Hai Kair
Dham Todti Hayate Aur Jeene Ko Machal Rahi
Rote Huwe Jahan Main Insano Ki Nahi Hai Kair
Aaya Hai Jaise Pehlu Main Jang Ka Bhuchaal Hai
Khatre Main Sab Ke Zindagi Ka Jaano Maal Hai..
Seema Paar Se Woh Mere Kashmir Ko Loot Rahe
Bharat Ke Ekta Ke Taqdeer Ko Loot Rahe
Laila Ko Loot Rahe Hai Woh Majnu Ke Naam Se
Ranje Aatangwaad K Aad Main, Mere Heer Ko Loot Rahe
Danga Fasaad Apharan Aur Firauthi Maang Rahe
Woh Daulat Se Malamaal Jagir Ko Loot Rahe
Haqikat Yahi Hai Ki Wo Ban Ke Gajnabi
Armaan Bare Kwabon Ke Tabeer Ko Loot Rahe
Fariyaad Kiske Aage Jakar Sunaye Hum
Aatangi Gareeb To Kya Ameer Ko Loot Rahe
Inke Samne Rakhwaon Ki Sehmi Majaal Hai
Katre Main Sab Ke Zindagi Ka Janomaal Hai