Manzil-E-Safar Malum Na Thi
Chalta Raha Chalata Raha
Mere Kadamon Ke Nishan Se
Mera Aspas Badalta Raha
Kari Dhup Ka Safar Tha Woh
Mere Pawn Jale Zindgi Jali
Mujhe Mile Kuch Dag Magar
Lgon Ko Pagdandi Mili
Ye Sach Hai Wazud Jalata Raha
Mera As Pas Badalta Rahan
Mere In Kadam Ke Nishan Se
Raste Bane Un Ke Liye Jo Kal Tak
Roston Ke Bina Pareshan The
Kahte Hain Ab Woh Log Magar
Awara Main O Mera Safar
Ye Nazariya Badal Nahee Sakta
Ye Zamane Ka Dastur Hai
Woh Mazboor Hain To Mazbur Hon
Mera Safar Bhee Mazbur Hai
Unhe Rasta Manzur Hai
Mujhe Mera Safar Manzur Hai
Kahte Hain Ab Woh Log Magar
Awara Main Oh Mera Safar