Main Ye Kis Ke Naam Likhoon Jo Alamm Guzar Rahay Hain
Mere Shehar Jal Rahay Hain,Mere Log Marr Rahay Hain
Koi Guncha Ho Ke Gul Ho,Koi Shaakh Ho Shajar Ho
Wo Hawaa-E-Gulistaan Hai Ke Sabhi Bikhar Rahay Hain
Kabhi Rehmatain Thi Nazil Issi Khita-E-Zamee’n Par
Wohi Khitta-E-Zamee’n Hai Ke Azaab Utar Rahay Hain
Wohi Taairo’n Ke Jhurmut Jo Hawa Main Jhooltay Thay
Wo Fizaa Ko Dekhtay Hain To Ab Aah Bhar Rahay Hain
Bari Aarzoo Thi Humko Nai Khaab Dekhnay Ki
So Ab Apni Zindagi Main Nay Khaab Bhar Rahay Hain
Koi Aur To Nahi Hai Pass-E-Khanjar Aazmaai
Hamee Qatal Kar Rahay Hain,Hamee Qatal Horahay Hain!!!