Main Jab Hawa Ke Iraadon Ko Jaan Leta Hoon,
Lade Bagair Hi Phir Haar Maan Leta Hoon,
Gairon Ki Yaad Anghoote Se Aane Lagti Hai,
Main Jab Bhi Haath Mein Teer-O-Kamaan Leta Hoon,
Fizaa-E-Sheher Se Aati Hui Hawaon Ko,
Main Saans Lene Se Pehle Hi Chhan Leta Hoon,
Badey Sukoon Se Aksar Zameen Ke Bistar Par,
Ab Aasmaan Ki Chaadar Bhi Taan Leta Hoon,
Ye Aur Baat Hai Ke Poora Koi Nahi Hota,
Hamesha Azam Koi Dil Mein Thaan Leta Hoon.,
Ye Waqeya Hai Ke Naqam Rehta Hoon “Fahmi“,
Main Jab Bhi Apna Koi Imtehaan Leta Hoon.
By Belal Nawaz Fahmi