Main Dekh Raha Hunbhuk Ugal
Rahi Galiyon-Bazaaron Mein.
Main Dekh Raha Hun Dhund Rahi
Bekaari Kafan Mazaaron Mein.
Main Dekh Raha Hun Hunar Ban Gaya Hai
Tizoriyon Ki Chaabi.
Main Dekh Raha Hun Itihaas Qaid Hai
Chaandi Ki Deewaron Mein.
Main Dekh Raha Hun
Dudh Ugalne Wali Dharti Pyasi Hai.
Main Dekh Raha Har Darwaze
Per Chayi Maut Udasi Hai.
Main Dekh Raha Mutthi Bhar
Daane Per Bikta Sindur Khada.
Main Dekh Raha Har Subah Surya
Ke Hee Ghar Sanyasi Hai.
Aadmi Mitt Jayega Ya Yeh Sab Badal Ke Chorega.
Insaan To Kya Woh Dharti Ka Bhagwaan Badalkar Chorega.
Ab To Aa Dharti Per Utarkar
Jaruratmand Hain Log Tere Yahan.
Aa Unhe Chaand De Jinke Ghar Nahi
Sitaare Jate Hain.
Unhe Hansi De Jinke Ghar
Phool Nahin Khil Paate Hain.
Tu Unka Teerath Hai Jinke
Pairon Ki Mitti Kaashi Hai.
Unka Saawan Hai Jo Registano
Se Haath Milate Hain.
Tujhse Koi Dushmani Nahin Bas Itna Kehna Hai Mera.
Woh Sabhi Hanse Jo Roye Hain
Woh Sabhi Jage Jo Kahin Soye Hain. Gar Yeh Na Ho Saka
To Teeri-Kamaan Badalkar Chorega.
Iss Dharti Ka Insaan Bhagwan Badalkar Chorega