Maanta Hoon‚  Eh Ser Zameen, Chhod Ker Tumhe,
Hoon Duur Chala Aaya,Per Ekk Pal Bhii
Uss Hawa Ko,Meethi Mahek Ko,
Panchiyon Kii Chachahat Ko,
Woh Bachpan Kii Yaadon Ko,
Woh Bachpan Kii Khelon Ko,
Aangan Mein Jhoomti Bhelon Ko,
Ekk Pal Bhii , Aapne Seene Se,
Saanso Se,Yaadon Se,Enhe Dur Naa Kar Paya.
Khade Ho Ker Keenare Per Woh Naapte Hai Teri Gahrai Ko, Sager
Unnse Kah De Koi, Esse Samjhna Hain To,
Maan Kii Aankhein Khol Ker,
Jara Neeche Ho Ker Dekh.