Maangte Hain Hum Khuda Se,Ab Dua Sab Sae Aleg
Apni Aadat Hain Niraali, Apni Ada Sab Se Aleg
Khaak Bun Ker Raaste Main,Dost!Tere Aagaye
Mit Ke Zinda Hogaye ,Apni Wafa Sab Se Aleg
Saamnae Manzil Hai Laekin ,Utt Sakae Naa Ae Khadam
Us Kii Hikmat Hain Juda,Uskii Saza Sab Sae Aleg
Pyaar Main Sab Kuch Ganwaaya,Phir Bhi Dil Hai Mutmayin
Hai Sukoon Is Main Juda To,Hai Maza Sab Sae Aleg
Mujh Sae Raazi Hai Khuda,Main Bani Phir Raazia
Uskii Chaahat Hai Juda, Uskii Raza Sab Sae Alrg
Kal Khushi Thi ,Aaj Ghum Hain,Iss Kaa Kyoon Maatam Karaen
Dehr Ke Fitnae Juda Hain,Karbala Sab Sae Aleg
Pyaar Sab Sae Moetabir,Pyaar Ka Aala Muqaam
Aur Hongae Silsilae,Ae Silsila Sab Sae Aleg
Maangtae Hain Hum Khuda Se, Naa To Zar, Naa Hii Zameen
Aarzoo Apni Juda Hai,Iltija Sab Se Aleg
Bheerd Main Duniya Ki Tanha,Hum Nazar Aajayeengae
Rung Hai Apna Juda,Roop Hain Sab Se Aleg
Chaah Ki Chaahat Thi Pehlae,Aaj Chaahat Aur Hai
Ibtida Kuch Aur Hi Thi, Intiha Sab Sae Aleg
Jaan Nahin Laetae Kisii Ki,Pyaar Main Bae-Shak Kabhi
Ehdae-Shaahi Aur Hogi,Ehdae-Wafa Sab Sae Aleg
Raz Taerae To Hi Jaanae , Ayae Maerae Rabb-Ae-Jaleel
Sab Sae Aala Zaat Taeri,Taerii Jaga Sab Sae Aleg