Maa Kahoon Tujhe Aur Tuhi Khele Khel Mujhase Taqdiron Ke,
Meri Bhagti, Meri Pooja Ke Badale Mai Tune Mujhe Diye Hai Kya Kya Tauhfe,
Pal Do Pal Ki Khushiyaan Aur Jeevan Saara Aansoono Ki Lamhaat Di,
Toot Kar Bikhar Jaaun Har Lamha Aesi Aesi Ghadiyaan Di Imtehaan Ki,
Jab Aag Jalaaye Ghar Kisi Ka To Logon Ne Wahaan Har Bund Paani Ki Bahaa Di,
Par Mere Jalate Dil Ko Bujhaaye Na Mere Ashqon Ki Barsaat Bhi,
Jab Phool Khile Bagiyan Mai To Saal Mai Ek Baar Patjhad Uase Murjhaaye Gi,
Patjhad Aaye Ek Baar Par Aake Bahaar Fir Uase Khilaaye Bhi,
Par Kahaani Meri Tune Likhi Kuchh Aesi Aadhi-Adhuri Si Ki,
Zindagi Mai Meri Bahaar Aaye Na Palat Kar Saal Mai Ek Baar Bhi,
Tujhase Shikaayat Kese Karu Jal Rahi Hoon Banake Jyot Mai Tere Wishwaash Ki,
Dekhana Sabar Ab Toot Na Jaaye, Bujh Jaaye Na Lau Mere Wishwaas Ki,
Gir Jaaun Na Mai Path Pe Apane Hi Hoke Nakaam Si,
Kho Jaaye Na Manzile,Bichhad Jaaye Na Saathi,
Varna Karegaa Na Koi Tera Bharosa Rahe Jaaegi Tu Bhi Hokar Akeli Bankar Murat Be-Jaan Si,
Aese Na Tod Tu Mujhe Ke Uatth Jaae Murat Se Teri Mera Aetbaar Bhi,
Kar Rahi Guzaarish Beti Teri Sun Le Duaa Ek Baar Bhi,
Ab Bandh Bhi Karde Dena Apane Bachcho Ko Gum Aur Mayusiyon Ki Saugaad Bhi,
Kahi Aesa Na Ho Ki Ab “Gudia” Teri Chhod De Tujhe Maa Kahe Kar Bulaana Bhi.