Lehron Ke Shor Ko Fiza Ki *Sarghoshi Se Shikaayat Hai,
Ek Tu Hai Aye Dost Jise Meri Khamoshi Se Shikaayat Hai.
Aankhon Se Unki Pi Kar Bhool Baithe Ye Jahaan Hum..
Waqt Ne Saath Chhoda Ki Meri Madhoshi Se Shikaayat Hai.

Kahin Dekh Naa Le Ise Sanam, Nazrein Jhhukaa Li Humne..
Wo Kehte Hain Haya Ki *Naqaab Poshi Se Shikaayat Hai.
Hai *Rashq Phoolon Ko *Noor-E-Aaftaab Ki *Damak Par..
*Khursheed Ko Gulon Ki Mehekti Dilkashi Se Shikaayat Hai.
Har Shay Kar Rahi Shikaayat Tujhhse, Kar Shukr -Ë—afshan-‘!
Kyu Tujhe Muqaddar Ki Hum-Aaghoshi Se Shikaayat Hai.
Lehron Ke Shor Ko Fiza Ki Sarghoshi Se Shikaayat Hai,
Ek Tu Hai Aye Dost Jise Meri Khamoshi Se Shikaayat Hai.