Laut Aa Tu Ke Teri Yaad Bahut Aati Hai
Zakhm Gehre Hain Seene Mein Samander Ki Tarah
Tu Bhee Dagaa De Gayi Mujhko Muqaddar Ki Tarah
Sawaal Tune Mere Kuch Adhure Chodh Diye
Rishtey Janmo Ke Tune Lamhon Mein Tod Diye
Zindgi Mein Ek Bejaan Si Udaasi Hai
Laut Aa Tu, Ke Teri Yaad Bahut Aati Hai
Ab To Apne Bhee Pesh Aate Hain Raqeebon Ki Tarah
Khwaab Dagaa De Jaate Hain Naseebon Ki Tarah
Gum Be-Parda Ho Gaye Hain Tere Jaane Per
Khud Se Sharminda Ho Gaye Hain Tere Jaane Per
Saans Ke Shor Se Mai Akser Kaamp Jaata Hun
Darr Ker Tanhai Se Akser Tujhe Bulata Hun
Dhadkane Bhee Mujhe Dhamka Jaati Hain
Laut Aa Tu, Ke Teri Yaad Bahut Aati Hai
Aa Ke Phir Se Sehra Ko Samander Ker Den
Chalen Dil Ke Dariya Mein Beh Ker Dur Kaheen
Rasmo Riwayaton Ke Jahaan Se Aage
Chaand Sitaaron Bhare Aasmaan Se Aage
Karan Kehta Hai Ussi Mausam Mein Laut Chalte Hain
Jab Din Or Raat Ek Nashe Mein Kat-Te Thai
Jab Zehan Teri Aamad Se Mahak Utthta Thaa
Tere Deedar Ko Phir Nazar Meri Pyasi Hai
Laut Aa Tu, Ke Teri Yaad Bahut Aati Hai