Lafzoan Ke Samander Ke ,Ho Laal-O-Guher Tum Bhee
Chamkoge Kisi Din Tum , Ho Maah-O-Meher Tum Bhee
Laati Hain Aser Her Aah,Ae Mera Bharoasa Hain
Ger Iska Aqeeda Hain Paaoagae Aser Tum Bhee
Thak Haar Kae Mat Baetto,Paana Hain Ager Manzil
Chaltae Hii Raho Yaara!Ab Shaam-O-Seher Tum Bhi
Koi To Jahan Main Hai,Jo Chahta Hai Tum Ko
Tum Aankh Kae Taarae Ho,Ho Jaan-O-Jiger Tum Bhii
Dil Main Hai Agar Jurat,Toofaan Sae Kiya Darna
Ab Kood Pardo Ismain Bae-Kauf-O-Khater Tum Bhii
Ger Tum Main Saleeqa Hai,Bun Saktae Ho Tum Rehber
Manzil Ka Nishan Daeker,Bun Jaao Khizer Tum Bhii
Banjer Hai Zameen To Kiya,Tum Iska Yaqeen Rakhna
Paaoagae Yahin Per Hi Ab Burg-O-Samer Tum Bhii
Tanhai Mita Daegi,Ekk Din Tumhaen Tanha Hii
Mehfil Main Teher Jao,Ho Jaao Amer Tum Bhii
Khatrae Main Samander Hai,Is Ka To Yaqeen Kerlo
Ger Is Main Sadaqat Hai,Lae Aana Nazar Tum Bhii
Jard Apni Zameen Per Tum.Mazboot Yunhi Rakhna
Kehlaaoagae Ekk Din Raz!Phaldaar Shajer Tum Bhii