Laayiye Tashreef, Ghar Hai Aapkaa, Aajaayiye
Takalluf Mat Keejiye, Kyaa Hukm Hai Farmaayiye
Aapkey Hain Ham Hamaarey Hon, Na Hon, Bandahnawaaz
Azal Sey Hain Muntazir Deed-E-Sanam Ko Aayiye
Khalaa Mein Nazareyn Tikeen Hain Aapki, Maaluum Hai
Koun Kahtaa Hai Ki Aap Buland Nazar Jhukaayiye?
Aap Rahtey Hain Bahut Nazdeek Hamko Hai Patah
Sirf Nazdeekee Dikhaa Kar, Aur Mat Bahlaayiye
Ham Tarastey Hain Musalsal, Eik Hi Muskaan Ko
Tazammun* Kar Rishtah-E-Katm-E-Adam, Muskaayiye
Khouf Khaataa Hoon Bahut Taareekiyoun Sey Muhtajib**
Mukammal Pahichaan Ho Jaaye, Hijaab Hataayiye
Qaafilah Taiyaar Hai, Kab Chal Parheygaa, Kyaa Patah?
Aakhiree Hai Waqt-E-Ulfat, Ab To Mat Sharmaayiye
Beywajah Khaamosh Hain Kyoun? Wajah Hai To Boliye
Kuchh Kamee Hai? Kyaa Gilaa Hai? Ab To Hamain Bataayiye?
Khaar Hi Hain Gulaaboun Key Baag Mein Gunchey Naheen
Ab To, Raham Dikhaayiye Bas Phool Eik Khilaayiye
Aap Ki Aawaaz Sun Ney Ko -Ë—abd-‘ Beychain Hai
Ham Na Kholeyngey Jubaan, Roodaad-E-Jigar# Sunaayiye
*‚  Accept
** Secret
#‚  Discription Of Inner Feelings