Kyun Duniya Kehti Hai Ki Aazad Hain Hum.
Kal Gairon Ke The Aaj Apno Ke Gulaam Hai Hum.
Rishwat Khori Ke Daldal Main Dhass Raha Hai Mulq.
Kyun Bikne Ke Liye Har Waqt Tayyar Hain Hum.
Dangon Ke Gubaar Se Syaah Hai Desh Ka Chehra.
Kyun Aaj Apno Ki Khatir Jalaad Hain Hum.
Paani_ Bijli Ab Bhi Door Hain Aam Insaano Se
Phir Kaise Kahen Ki Aabad Hain Hum.
Netaaon Ke Jhuthe Waadon Ki Aas Par Kaayam
Kyun Ghut Te Hue Watan Ki Fariyad Hain Hum.
Jin Sapno Par Taamir Kiya Tha Mulq Humne.
Kyun Un Raahon Main Aaj Deewar Hain Hum.
Jashn..E..Aazadi Chhod Jaati Hain Kahin Sawal.
Kya Is Aazadi Ke Sahi Huqdaar Hain Hum