Kya Sunae Tumhe Apni Kahani
Lafzon Se Beyan Na Hogi Hamare Zindagani
Jeeye Ja Rahe The Apni Hi Dun Main
Hum To Mast The Apne Hi Rang Main
Na Koi Saathi Na Koi Manzil Thi
Bas Akele Hi Zindagi Katti Thi
Ek Din Chal Pare Raah Apni
Ja Rahe The Masti Main Apni
Chalte Chalte Najane Kaise
Kadam Khud Bakhud Rukse Gaye
Nazar Aagaya Khuda Ka Haseen Nazara
Na Pehle Inn Aankhon Ne Dekha Us Jaise Koi Pyara
Zulfain Udd Udd Ke Galon Pe Aarahe The
Jaise Woh Bhi Unko Chona Cha Rahe The
Palkein Utti To Laga Jahan Ruk Gaya Hai
Zameen Ruk Gayi Hai Aasman Jhuk Gaya Hai
Dil Cha Raha Tha Bas Dekhte Rahe Unko
Palkein Kabhi Na Jhapke Aur Dekh Le Woh Bhi Humko
Ek Pal Main Pukar Sunli Khuda Ne
Palat Ke Hume Dekh Liya Unno Ne
Bas Nazar Nazar Main Jaise Baat Ho Rahi Thi
Dekhte Dekhte Shaam Bhi Del Rahi Thi
Ek Nazar Main Woh Aisa‚  Jaadu Chala Gayi
Iss Dil Main To Khalbali Macha Gayi
Bas Nazarein Jhuka Ke Woh Sharmani Lagi
Kadam Mudke Woh Jane Lagi
Dil Cha Raha Tha Jake Ruklo Unne
Apne Dil Ki Baat Beyan Kerdo Unne
Jate Jate Palat Ke Woh Muskura Gayi
Ek Pal Main Meri Duniya Badel Gayi
Basgaya Tha Nazron Main Manzar Unka
Her Jaga Dekhta Bas Chera Unka
Woh Raat Kerwaton Main Guzar Gayi
Meri Aankhon Se Woh‚  Neend Bhi Udda Gayi
Bas Deedar Ko Aankhein Taras Rahi Thi
Robaro Unse Mulakat Kerni Thi
Woh Subah To Bari Haseen Lagne Lagi
Zindagi Bhi Nayi Si Lagne Lagi
Chal Pada Dil Apni Manzil Ko
Aankhein Dondti Rahi Bas Unko
Din Dalte Dalte Raat Hogayi
Najane Woh Ajnabi Kahan Khogayi
Kahan Dondte Hum Apni Gumnaam Muhabbat
Kisse Kerte Beyan Hum Apni Yeh Chahat
Bas Her Rooz-O-Shab Dondte Unko Gali Gali
Lagta Hai Khuda Ne Meri Takdeer Hi Ye Lakhi
Aaj Bhi Yaad Hai Hume Unko Woh Muskurana
Nazrein Jhuka Jhuka Ke Sharmana
Unki Tasveer To Dil Main Basgayi Hai
Ab Bhi Muhabbat Meri Dharak Rehi Hai
Bas Yehi Hai Meri Zindagi Ki Kahani
Najane Kab Kaise Guzar Gayi Meri Jawani