Koi Din Gar Zindagaani Aur Hain
Apne Jii Mein Hamne Thaanee Aur Hain
Aatish-E-Dozakh Mein Ye Garmi Kahaan
Soz-E-Gam Haay Nihaanee Aur Hain
[ Dozakh = Hell, Soz = Passion/heat,
Nihaanee = Internal/hidden ]
Baarha Dekhee Hain Unkee Ranjishain
Par Kuchch Ab Ke Sar_giraanee Aur Hain
[ Sar_giraanee = Pride ]
Deke Khat Munh Dekhta Hai Naamabar
Kuchch To Paighaam-E-Zabaanee Aur Hain
[ Naamabar = Messenger ]
Qaata-E-’Amaar Hai Aksar Nujoom
Woh Balaa-E-Aasmaanee Aur Hain
[ Qaata-E-‘Amaar = Killers, Nujoom = Stars,
Balaa-E-Aasmaanee = Natural Calamity ]
Ho Chukeen Ghalib Balaayen Sab Tamaam
Ekk Marg-E-Naagahaanee Aur Hain
[ Balaayen = Calamities, Marg = Death, Naagahaanee = Sudden/
Accidental ]