Koi Apna Nahi Banta
Labon Pay Naam Rakhnay Say
Dilon Main Yaad Karnay Say
Har Ik Dharkan, Har Ik Tarpan
Kisi Ke Naam Karnay Say
Koi Apna Nahi Banta.
Tamam Umar Ki Khushiyan
Mohabbat Ki Sabhi Ghariyan
Kisi Ko Daan Karnay Say
Ke …Us Pay Maan Karnay Say
Koi Apna Nahi Banta
Woh Pehlay Piyar Ki Batain
Rafaqat Ki Sabhi Ratain
Woh Chahat Ki Sabhi Rasmain
Mohabbat Ki Sabhi Qasmain
Humaisha Yaad Rakhnay Say
Koi Apna Nahi Banta
Kisi Tanha Akaili Raah Guzar Par
Puranay Say Kisi Boorhay Shajar Par
Patthar Say Koi Dil Bananay Say Aur
Uss Main Apna Or Kisi Ka Naam Sajanay Say
Koi Apna Nahi Banta
Kay Jab Aankhain Hi Marr Ja’ain
To Phir Sapna Nahin Banta
Yeh Jeewan Daan Kar Ja’ain
To Bhi Apna Nahi Banta
Koi Apna Nahin Banta
Koi Apna Nahin Banta.