Kiya Thaa Ishq Jis Se, Hamne Zindagi Kee Tarah
Kiya Qurbaan *Maqtal Pe, Usne Ajnabi Kee Tarah
Place Of Execution
Na Samjhe Wo Hamare Pyaar Ki Intehaa
Dete Rahe Sazzaayein, Kisi Mujrim Kee Tarah
*Hasrat-E-Parwaaz Le, Jo Chal Diye Thhe Un Sang
Dabaate Rahe Ta Umr Usko, Dard-E-Zakhm Kee Tarah
Desire To Fly
Na Chaaha Na Tamanna Hee Kee Lal-O-Jawahar Kee
Pyaase Rahe Bus Pyaar Ke, *Khwaar-E-Sahraa Kee Tarah
Wretched Desert
Ik Hasrat Ke, Chhoo Leinge Bulandiyon Ko Ulfat Kee
*Rezza Rezza Huyi, Deh Gaye Khandhaar Kee Tarah
Piece By Piece
Wo Hansna, Wo Khilkhilana, Bebaaq Bewajah
Khatm Hua Wo Kissa Guzre Waqt Kee Tarah
Wo Hasrat, Haath Mein Haath Daal Kategi Zindagi Apni
Na Karo Yaad Use Bekaar Kee Chaahat Kee Tarah
*Shauq Kii Bebaakii, Bani Aaj *Shauq-E-Shahaadat
Wo Dekha Kiye Nazaara Tagaaful Aashnaa Kee Tarah
Impudence Of Love
Desire For Martyrdom
Muskurahat Na Sahi, Ashkon Ke Khazaane Tau Paaye Tuune
Kyon Kare Shikwaa -Ë—paras-‘ Jab Ho Gayi Tuu Laash Kee Tarah