Kiya Hai Azm To Usne Tujhe Kuchalne Ka
Sanbhal Bhi Ja Ke Abhi Waqt Hai Sanbhalne Ka
Badal Hi Jayega Ik Din Mijaaz-E-Mosam Bhi
Mager Yeh Kufr Ka Mosam Nahi Badelga Ka
Unhain Yeh Haq Hai Zameen Per Khuda Rahain Yaaro
Hamain To Haq Bhi Nahi Hai Zameen Pe Chalne Ka
Jhulas Rahay Hain Badan Or Zahen Apaahaj Hai
Kisay Afsos Hay Baghdad Teray Jalnae Ka
Dil-E-Tabaah Ka Yeh Hosla Bhi Kia Kam Hay
Kia Hay Maamla Tay Ab Khuda Badelne Ka
Khuda Hi Janay Meray Haath Kal Uthain Kay Nahi
Kya Hai Aaj Hi Saamaan Haath Milne Ka
Badal Hi Jatay Hain Kirdar “Burq” Rastay Main
Hua Hai Gher Main Tamasha Bhi Gher Ke Jalne Ka