Kissa-E-Nagar Nahin, Kissae-E-Shayar Nahin
Vakaya Kasbe Ka Hai Ek, Misal-E-Isqk-E-Dahar Nahin
Khamosh-Si Ladaki, Khoya-Sa Ladaka, Ghafil-Se Marasim
Ta-Aruff Koi Nahin Jabani, Zarurat Bhee Kyaa
Buss Nazaron Mein Mulakat Hoti Hain
Ke Sach! Aakhon Mein Kayanat Hoti Hain
Yaaron Ko Elm Nahin Kuch,Saheliyon Ko Nahin Kuch Khabar Hoti Hain
Eske Din Khayalon Mein Gum,Uski Shabein Ro Ke Basar Hoti Hain
Par Yaklakhat Kahin Jo Mil Jate Hai, Nazarein Churate Hain
Yun To Unki Her Aada-E-Khas Par Nazar Hoti Hain
Kahin Chrche Nahin Hote, Kahin Khabarein Na Udati
Nelafz Muhabbat Unki, Khamosh Hi Rahti
Shahron Mein Muhabbat Kum Numaish Zyada Hain
Kasbon Mein Sheistagi Hai, Jazbe Pakiza Hain
Aise Hi Na Jane Kitane Kisse, Kitane Vakaye
Ke Aaj Bhee Kasbon Mein Beawaz Muskurati Hain