Kisi Surat Dil-E-Nadan Ko Samjhaya Nahi Jata
Ki Jaane Waalon Se Kabhi Dil Lagaya Nahi Jata
Adda Hai Zid Pe Apni Bada Nadaan Bachha Hai
Ki Toote Khilono Se Jee Ko Behlaya Nahi Jata
Ye Jana Hai Teri Dunia Mein Aake Hum Faqreeon Ne
Ki Yahan Har Kisi Ke Aage Haath Failaya Nahi Jata
Kisi Ki Pyaas Bhujti Hai Kisi Ki Aas Bhujti Hai
Ki Barish Ka Koii Qatra Kabhi Zaaya Nahi Jata
Jiske Waste Jeeta Hai Usii Pe Jal Jata Hai Dewana
Parwane Ko Hunar Jalne Ka Sikhlaya Nahi Jata
Kabhi Thaa Aashian Mera Tere Qadmon Men Janejaan
Ab Barson Beet Jaate Hain Idhar Aaya Nahi Jata
Aksar Gilha Rehta Hai Hum Maikhaaron Se Saqi Ko
Wo Bhar Deta Hai Paimana Or Humse Utthaya Nahi Jata
‘Veer’ Andaaz Jeene Ka Kabhi Seekho Shajar Se Tum
Ho Chhahe Dhup Jinti Ispe Kabhi Apna Saya Nahi Jata