Kisi Ko Pyaar Karna Koi Badi Baat Nahi
Yanha To Roj Kain Log Pyaar Karte Hain
Yanha To Roj Kain Rishtey Naye Bante Hain
Ye Ahsaas, Shiddat Ye Jajbaat Sab Baaten Hain
Yanha Ye Lafj Raddi Ke Bhaw Jaate Hain
Pyaar Kya Hain Koi Sikhe To Ham Se Sikhe
Pyaar Jismo Kee Chahat Ke Siwa Kuchh Bhii Nahi
Chand Roj Kee Lagawat Kee Siwa Kuchh Bhii Nahi
Ye Wafadari Ke Baaten Betuk See Hain
Pyaar Dil Tod Ke Khush Rahne Ke Siwa Kuchh Bhii Nahi
Nai Duniya Hai Ye E Dost Jara Tu Bhii Badal
Pyaar To Badal Gaya Hain Jara Ghar Se Bahar Nikal
Yanha Ab Dil Se Khelne Main Maja Aata Hain
Yanha To Naam-E-Wafa Dil Hee Ko Bahlata Hain
Maje Uske Hain Jo Is Lafj Ko Dohrata Hain
Kisi Ko Kuchh Kisi Ko Or Kuchh Samjhata Hain
Naye Panchhi Ko Pakdne Kaa Hunar Aata Hai
Anish Teri Mohobbat Ki Baaten Jhooti Thee
Kisi Ko Pyaar Karna Koi Badi Baat Nahi
Tu To Kahta Tha Ke Dil Ek Baar Lagta Hai
Jisase Lagta Hai Usi Se Wafa Karta Hai
Jaan Bhi Uske Liye Dena Badi Baat Nahi
Pyaar Se Badhke Duniya Main Koi Sogat Nahi
Wo Banai Hui Ekk Shajahan Kee Imarat Hain
Pyaar Gar Na Ho To Fir Uska Naam Taj Nahi
Pyaar Ka Rishta Kisi Rishte Ka Mohtaaj Nahi
Pyaar Wo Shay Hai Jisase Koi Bhi Anjaan Nahi
Anish Teri Mohobbat Kee Baten Jhooti Hain
Aaj Ke Dor Main Wo Saari Baaten Jhooti Hain
Is Badalti Hui Duniya Main Sirf Lafj Hain Ye
Kisi Ko Jeetne Ko Dabane Wali Nabj Hai Ye
Aaj Har Or Naam Mohobbat Kaa Liya Jaata Hain
Aad Main Iski Kuchh Or Hee Kiya Jaata Hain