Kisi Ki Aankh Jo Pur-Nam Nahin Hai
Na Samjho Yeh Keh Us-Ko Gham Nahin Hai
Savaad-E Dard Mein Tanhaa Kharaa Hoon
Palat Jaaoon Magar Mausam Nahin Hai
Samajh Mein Kuch Nahin Aataa Kisi Ki
Agarcheh Guftugu Mubham Nahin Hai
Sulagtaa Nahin Tareek Jangal
Talab Ki Lau Agar Madhdham Nahin Hai
Yeh Basti Hai Sitam Parvardigaan Ki
Yahaan Koie Kisi Say Kam Nahin Hai
Kinaarah Doosraa Daryaa Ka Jaisay
Woh Saathi Hai Magar Mehram Nahin Hai
Diloon Ki Raushni Bujhnay Na Daenaa
Vujood-E Teergi Mohkam Nahin Hai
Main Tum Ko Chaah Kar Pachtaa Rahaa Hoon
Koie Is Zakhm Kaa Marham Nahin Hai
Jo Koie Sun Sakay Amjad To Dunyaa
Bajuz Ik Bazgasht-E Gham Nahin Ha