Khwaishon Ko Jalati Kabhi, Kabhi Bujhati Hai,
Ek Umeed Hi To Hai Jo Aage Badna Sikhati Hai,
Mohabbat Mein Kabhi Jo Tum Khao Thokar Kisi Ki,
Sacchi Agar Ho Mohabbat To Bas Umeed Kaam Aati Hai,
Kahin Bhi Jist-O-Jaan Duniya Ki Musibaton Mein,
Ho Gar Giraftaar Use Umeed Wapas Le Aati Hai,
Khayal-E-Umeed Ke Kabhi Dil Laga Paunga Main,
Gaur Kiya Ke Jhat Se Dil Mein Koi Aur Umeed Ajati Hai,
Tanhai Ki Umeed Na Rakh Kabhi Mehfil Se Tu,
Ye Umeed Aksar Bewaja Bekaar Chali Jaati Hai,
Dil Jalon Ke Aashiyane Jab Jale The Kahin,
Zindagi Ki Umeed Unhe Khudaai Yaad Aati Hai,
Zamane Ke Zulm Sahe Kitne Is Umeed Ke Saath,
Ke Har Kaali Raat Ke Baad Ek Subeh Zarur Aati Hai,
Kuch Khayaal Dil Ke Aaj Bahekne Lage Hai,
Umeed Thi Kuch Aur Likhne Ki Par Umeed Likhi Jaati Hai,
Ek Daastan-E-Mohabbat Ki Umeed Bhi Dekhlo Logon,
Mar Gayi Mohabbat Par Umeed Milne Ki Baaki Hai,
Khayal-E-Guzar Me Ek Khayal Yeh Bhi Aaya,
Umeed Karte Hai Yeh Nazm Aapke Khayal Chhu Jaati Hai,
Hum Mohabbat Ka Kaarwan Khatm Nahi Karte Yaaron,
Umeed Hi Ise Mitati Hai Umeed Hi Badati Hai,
Bas Ab Kitni Umeed Lagaoge Is Umeed Se “Abrar”
Umeed Jagate,Umeed Mitate Hue Tujhe Mitati Jaati Hai