Khusiyon Ki Jane Kyu Is Dehleez Se Kya Dusmani Hai
Har Bar Aakar Darwazaa Khat-Khatati Hai
Aur Laut Jati Hai Har Bar-
Bahut Koshis Ki Hamne In Dhuk Bhari Andhiyon Se
Apne Aashiyaane Ko Bachane Ki Saankal Lagakar Kiwaar Par
Ade Khade Rahe Har-Bar Ladte Rahe/jhujhte Rahe.
Par In Aadhiyon Ne Kadam Kasam Kha Rakhi Thi.
Kabhi Band Khirkiyon Se To Kabhi Roshan-Daano Se
Kabhi Darwaazon Ke Shurakhon Se Har Bar Dela Jati Hai
Ek Hasti Ko Nestnabood Kar Jati Hai Hauslon Ko
Aur Reh Jati Hai Tez Hawa Ke Baad Bache-Kuche
Teenke/faila Hua Samaan Tuta Hua Main
Aur Chot Khaaye Mere Iraade Aur Har Baar Reh-Reh Kar Ye Sochkar
Khamosh Ho Jata Hu Ki Shayad Mere Hauslon Ki Deewar Hi