Khushk Aankhon Me Kai Bar Jhalak Jate Hai
Khushi Milte Hi Aankho Se Tapak Jate Hai
Ghamo Ke Daur Me Na Pucho Kabhi Halat Iske
Khamoshion Me Bhi Ye Saaf Nazar Aate Hai
Kabhi Mehfil To Kabhi Tanhai Me Chhup Ke
Kabhi Chaman To Kabhi Baghon Me Ruk Ke
Jab Kabhi Apno Ki Yaad Sataati Hai
Moti Ban Ke Pal Bhar Me Bikhar Jate Hai
Umar Ka Koi Ta-Alluk Nahi Darmiyan Is Ke
Kabhi Mauka To Kabhi Dastur Ye Nibhate Hai
Bagair Iske To Zindagi Bhi Adhuri Hai Shayad
Kabhi Apne To Kabhi Gairo Ka Ehsas Dilate Hai
Khushk Aankhon Me Kai Bar Jhalak Jate Hai
Kushi Milte Hi Aankho Se Tapak Jate Hai