Khushion Ki Laharon Me Aur Gham Ke Andheron Me
Kisike Saath Hasne Ke Liye Kandha Pakad Kar Rone Ke Liye
Kisi Se -ŗApnepan- Ke Liye Us Ghadi Aap Ko
Humari Yaad To Aati Hogee?
Dookh Ke Baadal Gheere Ho Anjaan Si Dagar Ho
Raasta Nazar Aata Na Ho Kisi Humdard Ki Zaroorat Ho
Jo Haath Pakad Sahara Deta Ho
Us Ghadi Aap Ko Humari Yaad To Aati Hogee?
Baagh Me Phoolon Ki Mahak Se Ghulab Ke Khilne Se
Purane Geeton Ki Yaadon Se Kisi Ki Pehchhani Hansee Se
Ya Aankhon Se Baraste Aansoo Se
Us Ghadi Aap Ko Humari Yaad To Aati Hogee?
Jab Sansaar Ke Saari Khushion Milne Par Bhi
Zindagi Baghbaan Si Mahak Ne Par Bhi
Sitaron Ki Roshani Hone Par Bhi
Dil Me Andhera Ho Apna Astitva Udaas Ho
Aur Raaste Me Tanha Ho Kisi Ke Saath Ki Tadap Ho
Us Ghadi Aap Ko Humari Yaad To Aati Hogee?
Us Waqt Aasman Par Us Chand Ko Dekh Lena
Uski Sheetalta Ko Mehsoos Kar Lena
Aur Aapne Dil Ki Gehrayee Me Jhank Kar
Jaise Chand Se Chandani Alag Nahin
Surya Se Roshani Alag Nahin
Phoolon Se Khoosboo Alag Nahin
Aap Se Hum Alag Nahin Yeh Mehsoos Kar Lena