Khamosh Hai Ye Manzar, Khamosh Hi Raat Hai,
Khamosh Hai Badal, Kahmosh Hi Barsaat Hai,
Kabhi Intezaar Bhi Shor Machaya Karte The,
Fir Aaj Kyo Khamosh Ye Humari Mulaqat Hai,
Kya Kahu Ki Tujhe Kitna Yaad Karti Hu,
Tera Naam Lekar Hi To Me Jaam Bharti Hu,
Aaj Bhi Jaati Us Jagah, Jaha Kabhi Saath Baithe The,
Ab Yaado Me Muskurati Hu, Fir Ro-Ro Kar Marti Hu,
Kabhi Saath Chala Karte The Hum In Raaho Par,
Aur So Jaate The Tum Rakh Kar Sir In Shaano Par,
Teri Khatir Har Rishte Se Door Hote Chale Gaye,
Aaj Koi Nahi Hai Lagane Ko Marham Meri Aahon Par,
Aakhir Tum Mujhe Yaad Itna Kyo Aate Ho,
Aa Kar Khwabo Me Fir Vapas Laut Kyo Jate Ho,
Mana Zindagi Ruk Nahi Sakti Kisi Ke Intezaar Me,
Par Door Hokar Bhi Tum Mujhe Itna Kyo Tadpate Ho,
Woh Pehli Mulaqat Aaj Bhi Mujhe Yaad Aati Hai,
Woh Sehmi Teri Ankhen Aaj Bhi Mere Dil Me Utar Jaati Hai,
Kaise Mita Doon Un Pyar Ke Khusnuma Lamho Ko,
Sach…. Aaj Bhi Meri Dhadkane Bas Tujhe Hi Pas Bulati Hai,
Rozana Baithti Hu Tanhai Me Tujhe Yaad Karne Ko,
Ek Akeli Saaqi Hu Pure Maikhane Ko Abaad Karne Ko,
Ab Hontho Par Hansi Na Rahi Aur Gam Bhi Mujhse Haar Chuke Hai,
Baaki Hai To Bas Zindagi Teri Yaado Me Barbaad Karne Ko,
Har Aahat Me Tujhe Mehsus Karne Ki Aadat Kya Paayi Hai,
Khuda Ki Banai Har Cheez Me Basi Bewafai Hai,
Ek Muddatt Tak Baithi Hu Darr Pe Tere Intezaar Me,
Jab Karti Hun Band Ye Darr To Ye Hawayen Aur Jor Se Takraai Hai.