Keh Juban Se Mujh Se Bichhrrey Ho
Bohet Be-Chain Rehte Ho
Meri Batain Satati Hain
Mere Lafzon Ke Jugnoo
Aik Pall Ojhal Nahi Hotey
Meri Nazmain Rulaati Hain
Meri Ankhain Jagaati Hain
Mujhe Tum Kia Bataao Gey
Keh Tum Ne Baarha Oon Ajnabi Chahron Ke Jungl Main
Mere Chahray Ko Dhoonda Hai
Kisi Maanoos Lahjay Per
Kisi Maanoos Aahet Per
Palt Ker Aisey Dekha Hai
Keh Jaisay Tum Meri Mojoodgi Mahsoos Kertay Ho
Mujhe Tum Kia Bataao Gey
Keh Kitni Shabnumi Shaamain
Tehltey,Sochtey Guzrin
Keh Kitni Chandni Ratain
Duaain Mangte Guzrin
Keh Kitney Ashk Aisay Thay
Jo Girte Hee Rahay Dil Main
Mujhe Tum Kia Batao Gey
Meri Jaan Main Samjhta Hoon
Tumhari Unkahi Batain
Keh In Mosmon Ke Ik Ik Rastey Se Guzra Hoon
Main Abb Bhi Lafz Chunta Hoon
Main Abb Bhi Ashk Bunta Hoon
Keh Jub Se Tum Se Bichhra Hoon
Tumhari Raat Per Guzray
Main Her Mosam Main Rehta Hoon
Tu Phir Tum Kia Sunaao Gey
Mujhey Tum Kia Bataao Gey