Kavita Jo Adhoori Rah Gay
Ye Nahi Ki Main Puri Nahi Karna Chahta Tha,
Par Baat Agar Kalam Ke Saath ****Ne Ka Hota,
Ya Shabdo Ke Saath ****Ne Ka Hota,
Ya Bhavnao Ke Shoonya Hone Ka Hota,
Ya Shabdo Ke Bhav-Poorn Sanyojan Ka Hota.
Par Ye Sab To Hai Mere Saath,
Nahi Hai To Bas Tumahari Upastithi Mere Vajood Ke Saath
Jis Se Kavita Poori Honi Thi.
Aisa Bhi Nahi Ki Tumahara Vajood Nahi Hai Parantu-Â….
Bhavnao Ke Samandar Mein Tum Mere Saath Nahi
Shabdo Ka Sanyojan Mushkil Ho Gaya Tumhare Bina.
Tum Aksar Is Kavita Ki Baat Karti Thi,
Jo Main Tumhare Liye Sanyojit Karna Chaha Tha.
Par Tum Kabhi Samajh Nahi Payi,
Kabhi Padh Nahi Payi In Aankho Mein Us Kavita Ko-Â…..
Kabhi Meri Bhavnao Ko Aatam-Saat Nahi Kiya.
Ektarfa Hi Sahi Par Gustakhi Ki Thi Maine
Tumhe Chahne Ki Tumse Apni Kavita Puri Karne Ki
Bhool Ki Thi Maine Tumhe Man Hi Man Apna Sarvasva Manne Ki.
Bhool Jana Tum Mujhe Thik Usi Tarah
Jaise Parchai Bhool Jati Hai Vajood Apna Raat Mein
Jhar Dena Tum Mujhe Pustak Pe Padi
Dhool Ki Tarah Apni Yaado Ke Gulshan Se-Â…
Bas Ek Hi Kamna Hai Khoos Raho Sada Jahan Kahi Bhi Raho
Hamesha Kadam Chume Safalta Tumhari
Ye Kavita To Adhoori Rahni Thi Kyonki Gushtakhi Meri Thi
Tumhe Shabdo Mein Bandhkar