Kal Jo Gale Milte The
Aaj Gale Kaat-Te Hai
Kal Jo Saath Muskuraate The
Aaj Aasoon Baant-Te Hai
Dekho, Waqt Ki Rachna Kaisi
Har Koi Baante Hai Agyaan
Kitna Badal Gaya Insaan
Badlavv Hai Fitrat Inki
Taraqee Ke Nashe Mein Choor Sabhi
Chand Kaagaz Ke Tukde Jahaa
Soch Ka Dairaa Rukta Wahii
Kal Tak Jo Darta Tha Bure Kaamo Se
Aaj Buraai Hai Sabka Imaan
Kitna Badal Gaya Insaan
Charno Mein Maa Ke Swarg Hai
Sunaa, Seekha Tha Kabhi Maine Aisa
Aao Dekho Roti Huyi Budhi Aakho Ko
Zamaana Aaya Hai Ya Khuda Kaisa
Jinhone Paal-Posh Kar Badaa Kiyaa
Ban Ke Reh Gaye Ghar Mein Mehmaan
Kitna Badal Gaya Insaan
Naari Ke Hai Roop Kitne
Labso Me Kon Ineh Bayaan Kare
Hai Pal – Pal Poojniye Inka
Ek Jivan Mein Saat Ka, Balidaan Kare (Saat Janmo Ka)
Sare Aam Bikte Hai Laaj Sharam Ke Gehne Ab
Dekho Kaisi Khuli Hai Yeh Dukaan
Kitna Badal Gaya Insaan
Hai Aatank Chaaro Ore Nadiya Hai Khoon Ki
Din Dahade-Bazaar Hai Aaj Bouchaar Goliyon Ki
Band Karo Yeh Khel Laaso Kaabto
Maang Suni Ho Rahi Hai Kitni Doliyon Ki
Kal Talak Jo Poojte The Geeta Aur Kuraan
Aaj Puje Hai Haiwaan
Kitna Badal Gaya Insaan
Dekho Kitna Badal Gaya Insaan
-Aashique