Kaho Kuchh, Ki, Kyoun Paas Aatey Nahin Ho?
Sataatey Ho, Par, Kuchh Bataatey Nahin Ho?
Lalaktee Hai Jab Bahr Ko Mouj-E-Dariyah:
Mujhey, Yar, Tab Bhee Bulaatey Nahin Ho?
Rahuun Kab Talak Eid Kaa Muntazir Mein:
Musalsal Ta’aanuk Ko Aatey Nahin Ho?
Raqeeboun Pai Phir Sey Meyharbaan Huye Ho?
Palat Kyaa Tabhi Munh Dikhaatey Nahin Ho?
Liye Saath Gulbun Key Gunchhey Ki Surkhee,
Shafaq Kyoun Nigaahoun Mein Laatey Nahin Ho?
Guzartaa Nahin Chain Sey Ab Lamhaa Bhee!
Guzarteen Hain Raateyn, Sulaatey Nahin Ho?
Uqaaboun Ki ‘Choun-Choun’ Sey Aajiz Hun, Fir Bhee,
Gazal Andleebee Sunaatey Nahin Ho?
Bhataktaa Hun Khaamosh Taareekiyoun Mein:
Shamaa Husn Kee Kyoun Jalaatey Nahin Ho?
Halaf Thaa, Ki, ‘Taahashra Hai Saath Apnaa!’
‘Abd’ Ab Ahad Kyoun Nibhaatey Nahin Ho?

By Abd Bundeli (Ram Prakash Garg)