Kaheen Wo Mere Haal Per Muskuraa Na Dein
Apna Deewaana Samajhkar, Khudper Itra Na Dein,
Bas Yahi Sochkar Mai, Dard Zaahir Nahi Kar Paata
Beshaq-Â…bheetar Sab Bikhra-Bhikhra Sa Rehta Hai
Apni Chehre Apni Zulfon Per -Â…eise Asar Nahi Dikhata,
Ab To Ek Umr Bhi Gujar Gai Hai
Dard Ki Kalai Meri Diwaaron Se Utar Gai Hai
Per Afsos-Â… Unke Tewer Na Badle Abtak
Milte To Hain Aksar Wo Raahon Me..Or Mai
Chaahkar Bhi Unse Nahi Mil Paata,
Khabar Ye Unko Bhi Hai Uoonto
Ke Baat Kehne Me Koi Shaani Nahi Hamara
Wo Jo Haalaat Banaate Hain Unko
Pehle Hi Jaan Jaata Hoon Mai
Per Unke Iraadon Ko Mai Aaina Nahi Dikha Paata,
Ab To Sambhlo Ey Dil
Bahut Siyaane Ho Chale Ho Tum Bhi,
Kabhi To Milo Koi Yaadgaar Lamha Bankar
Mai Apni Deewaar Per, Meili Hoti
Tumhaari Is Tasweer Ko Dekh Nahi Paata.