Kaheen Dur Chod Aaya Hun Main
Apne Gaaon Apne Makaan Ko,
Badii Keemat Chukaani Padi Ey Shehar
Behtar Jindgi Ke Is Armaan Ko,
Wo Jangal Se Gujarti Khaamosh Sadkein
Mujhe Aksar Yaad Aa Jaati Hain,
Mere Kheton Se Dikhte Nazaare, Pahaaron Ke Kinaare
Ye Taswirein Nazar Se, Kahaan Utarr Paati Hain,
Gujre Waqt Ke Nazaare, Mere Apne Wo Saare
Sabhi To Aahista Aahista Bichad Gaye,
Suna Hai Mere Makaan Ke Kinaare Bhii
Tut-Tut Kar Bikhar Gaye,
Wo Pathshala(School) Gaaon Ki Jahaan
Bachhon Ki Chahchahat Se Bhar Jaati Thi,
Ab Wo Chaupaal Bhi Suni Hain
Jo Gaon Ki Ronak Kahii Jaati Thi,
Sochta Hun Kya Paya Maine
Abna Chain O Sukun Khokar,
Ab Bhee To Wahi Roti Khata Hun
Mai Apne Khaliyaanon Se Juda Hokar.