Kahaan Gaya Mera Bachpan?
Wo Din Na Jaane Kaise Kho Diye,
Chont Kabhi Lagti Jab Humko,
Maa Ke Aanchal Me Chhip Kar Ro Diye.
Larte, Jhhagarte Doston Se Hum,
Khel Me Ranj Bhula Dete The,
Raaton Ko Kahaani Sunaakar,
Abba Hume Sula Dete The.
Dil Me Na Koi Baat Chhipi Thi,
Na Tha Bojh Koi Bhi Mann Me,
Hansi Se Mehekti Thi Fizaaein,
Khushiyaan Phirti Thi Aangan Me.
Ab Aankhon Me Dard Ka Darya,
Lab Par Farebi Muskaan Rehti Hai,
Humne Kar Li Laakhon Baatein,
Khamosh Dil Ki Zubaan Rehti Hai.
Kaise Koi Ab Samjhe Humko,
Wajood Se Apne Hain Anjaan Hum,
Jeete Rahe Apno Ki Khaatir,
Ghairon Se Paate Rahe Pehchaan Hum.