Kabhi Shab Se Kabhi Sehar Se Larra Karti Thee
Mudatein Hueen Ek Shamma Yahan Jal Karti Thee
Kyaa Baat Huee Keh Aaj Sar-E-Sham Band Ho Gayee
Ek Khirrkee Joo Kabhi Ta Sehar Khula Karti Thee
Sehamta Hai Dil Kyoon Ab Ke Bar Iss Toofan Mein
Garajte The Badal Bijli Pehlay Bhee Gira Karti Thee
Kucch Rang Yaas Me Kusht-E-Armaan Ka Hai Warna
Nomeedi Iss Dil Se Door Hee Raha Karti Thee
Khata Meri Hee Thee Jo Dunya Se Dil Laga Baitha
Yeh Kambakht Pehlay Kab Kisi Se Wafa Karti Thee
Main Un Se Kah Raha Hoon Mujhe Yaad Kijiye
Kabhi Meri Yaad Jin Ki Dharrkan Huwa Karti Thee
Dekho Aaj Ham Un Ki Dunya Me Shamil Hee Nahin
Jin Ki Dunya Kabhi Bas Ham Se Huwa Karti Thee